buland-o-past haqiqat se aashna na hua wo dil ki jis mein koi harf-e-muddaa na hua wo zinda dil tha main sahta raha gham-e-duniya usi mein jaan di lekin gurez-pa na hua chala jo shab ka musafir to is ada se chala ki jab ruka to dar-e-subh runuma na hua tumhin batao ki is dil ka kya kiya jae jo chot kha ke bhi choton se aashna na hua sitare tod liye hum ne zuhd-o-taqwa ke magar jo haqq-e-ibaadat tha wo ada na hua chale chalo ki abhi subh ki siyahi hai sahar qarib hai tara koi hua na hua 'kalim' dard-e-mohabbat samajh mein kyun aae wahi to dard hai jo dard-e-la-dawa na hua