bulbul bajae apne tujhe ham-nawa se bahs

bulbul bajae apne tujhe ham-nawa se bahs
washud mein gul ki mahz ghalat hai saba se bahs

aaine ko na chahiye aashiq ke dil ke sath
bar-aks apni shakl ke ru-e-safa se bahs

ab to ghurur-e-husn hai aisa butan tumhein
mutlaq mahall-e-khauf nahin hai khuda se bahs

mabhas se us maqam ke kharij hai dakhl-e-ghair
jab aashna ko aan pade aashna se bahs

bulbul hazar naghma-sara hoe bagh mein
kab kar sake hai nala-e-dil ki sada se bahs

dana na us ko samjhiye jo ghair khamushi
dil khasta ho falak ke kare aasiya se bahs

kab shama tere husn ke shoale ke ru-ba-ru
mahfil mein kar sake kam-o-besh-e-ziya se bahs

tausan ne teri nazuki gulshan mein khatm ki
aaj aab-o-rang-e-gul ki hawas par hawa se bahs

gulshan mein chaak pairahan-e-gul kiya 'muhib'
bulbul ne kar ke us but-e-gulgun-qaba se bahs


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close