bulbul gulon se dekh ke tujh ko bigad gaya qumri ka tauq sarw ki gardan mein pad gaya chin-bar-jabin na ai but-e-chin rah ghurur se taswir ka hai aib jo chehra bigad gaya aai to hai pasand use chaal yar ki sun lijo panw kabk-e-dari ka ukhad gaya pichhe hata na kucha-e-qatil se apna panw sar se tadap ke chaar qadam aage dhad gaya khinchi jo meri tarah se qumri ne aah-e-sard jade ke mare sarw chaman mein akad gaya shirin ke shefta hue parwez-o-kohkan shaer hun main ye kahta hun mazmun lad gaya allah-re shauq apni jabin ko khabar nahin us but ke aastane ka patthar ragad gaya darman se aur dard hamara hua do-chand marham se dagh sine mein nasur pad gaya guldasta ban ke raunaq-e-bazm-e-shahan hua kuda jo us faqir ke takiye se jhad gaya nikla na jism se dil-e-nalan sharik-e-ruh manzil mein rang naqa se apne bichhad gaya pahuncha majaz se jo haqiqat ki kunah ko ye jaan le ki raste mein pher pad gaya furqat ki shab mein zist ne apni wafa na ki qabl-e-sahar charagh hamara na badh gaya pata hun shauq-e-wasl mein ahbab ki kami husn-o-jamal-e-yar mein kuchh farq pad gaya lashon ko aashiqon ke na uttho gali se yar basne ka phir ye ganw nahin jab ujad gaya dekha tujhe jo khun-e-shahidan se surkh-posh turk-e-falak zamin mein khajalat se gad gaya barson ki rah aa ke azizan nikal gae afsos karwan se main apne bichhad gaya aaya jo sharh-e-lal-e-lab-e-yar ka khayal jhanda qalam ka apne badakhshan mein gad gaya main nai liya baghal mein pari-ru visal ko dew-e-firaq kashti mein mujh se bichhad gaya 'atish' na puchh haal tu mujh dard-mand ka sine mein dagh dagh mein nasur pad gaya