buri KHabar hai use mushtahar nahin karte

buri khabar hai use mushtahar nahin karte
kisi ke aib ko yun be-hunar nahin karte

mere buzurg hain tul-e-kalam ke shaida
kahaniyon ko kabhi mukhtasar nahin karte

mujhe bhi shauq hai duniya ko fath karne ka
magar pahad ko ujlat mein sar nahin karte

na jaane kaun sa mausam ho phul-patton ka
isi liye to ye paude safar nahin karte

main aaj apne hi akhlaq se pareshan hun
takallufat mujhe mo'atabar nahin karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close