but-e-ghuncha-dahan pe nisar hun main nahin jhuT kuchh isMein KHuda ki qasam

but-e-ghuncha-dahan pe nisar hun main nahin jhut kuchh is mein khuda ki qasam
mera tair-e-dil isi qaid mein hai mujhe zulf ke dam-e-bala ki qasam

nahin bhata mujhe koi rashk-e-pari koi lakh hasin ho bala se meri
mera dil tera aashiq-e-shefta hai mujhe tere hi naz-o-ada ki qasam

mere dil ko zara nahin tab-o-tab ki uthaun tumhaara ye qahr-o-ghazab
mere qatl mein der na chahiye ab tumhein apne hi jaur-o-jafa ki qasam

na to hur hi ko ye mila hai namak na pari hi ke rukh mein hai aisi chamak
tere samne phike hain shams-o-qamar mujhe tere hi rukh ki ziya ki qasam

mujhe itr-e-hina ki nahin hai hawa mujhe phulon se hota hai dagh-e-siwa
kabhi nikhat-e-zulf sungha de saba tujhe nafa-e-mushk-e-khata ki qasam

mere baad sahega na koi bhi gham na uthega kisi se ye ranj-o-alam
karo tark tum aaj se zulm-o-sitam tumhein apni hi mehr-o-wafa ki qasam

kabhi dard se rota ho 'agha' agar to hansi se ye kahta hai wo gul-e-tar
mera man kaha are nala na kar tujhe bulbul-e-naghma-sara ki qasam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close