buton ki majlis mein shab ko mah-ru jo aur tuk bhi qayam karta kunisht viran sanam ko banda brahmnon ko ghulam karta kharab khasta samajh ke tu ne piyare mujh ko abas nikala jo rahne deta tu gul-rukhon mein qasam hai meri main nam karta karodon dil jo mue pade hain nikalte khunin kafan se nalan qayamat aa jati jo wo qamat gali mein apni khiram karta na itne qisse na jang hoti piyare tere milap upar raqib aapi se zahr khane jo wasl ka tu payam karta wo sarw-qamat jo muskura kar chaman mein jata to muskura kar tadapti bulbul sisakti qumri gulon pe hansna haram karta bhala hua jo naqab tu ne uthaya chehre se hai pari-ru wagarna sine se dil tadap kar nigah mein aa kar maqam karta jo zulfen mukhde pe khol deta sanam hamara to phir ye gardun na din dikhata na shab bitata na subh lata na sham karta wo bazm apni thi mai-khuri ki farishte ho jate mast be-khud jo shaikh-ji wan se bach ke aate to phir main un ko salam karta 'nazir' teri ishaaraton se ye baaten ghairon ki sun raha hai wagarna kis mein thi tab-o-taqat jo us se aa kar kalam karta