chaal ek aisi chali har shakhs sidha ho gaya baat bas itni ki main thoda sa tirchha ho gaya log bole ab naya ho ja purana-pan utar main bhi kya karta sar-e-bazar nanga ho gaya us janam mein phir mujhe waisi hi gumnami mili ittifaq aisa ki phir us ghar mein paida ho gaya tut kar tare gire kal shab mari dahliz par us ki bhi aankhen gain aur main bhi andha ho gaya chhe dinon tak shahar mein ghuma wo bachchon ki tarah satwen din jab wo ghar pahuncha to budha ho gaya do dinon mein hum zara kuchh aur lambe ho gae qad hamare doston ka aur chhota ho gaya chal diye duniya se hum 'pashi' sabhi kuchh tyag kar aur hamare sath hi ek daur pura ho gaya