chaDhte tufan ko sahil se guzarna tha miyan

chadhte tufan ko sahil se guzarna tha miyan
rit ke ghar ko bahar-haal bikharna tha miyan

kab talak panw ko tode hue baitha rahta
rah-e-dushwar se rah-raw ko guzarna tha miyan

itne manus the sayyaad se jate na kahin
qaid mein par na parindon ke katarna tha miyan

jab na samjhe to phir ab chhed ke pachhtana kya
chashm-e-namnak mein ubla hua jharna tha miyan

ishq ke gahre samundar mein gae kyun 'anwar'
uthle pani mein agar dub ke marna tha miyan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close