chahaar samt se kal tak jo ghar damakta tha

chahaar samt se kal tak jo ghar damakta tha
hum aaj sair ko nikle to bas kharaba tha

na jaane kis liye aankhen dikhain suraj ne
hamari aaankhon ne bas khwab hi to manga tha

darakht gahre tanaffus mein hain larazte hain
sawar abr liye bijliyon ka koda tha

hamare hath mein tuta hua hai aaina
sarapa tha to bhala kaisa wo sarapa tha

uthae phirte the shanon pe aap apni lash
wo log kaun the kya jurm un ka thahra tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close