chali ab gul ke hathon se luta kar karwan apna na chhoda hae bulbul ne chaman mein kuchh nishan apna ye hasrat rah gai kya kya maze se zindagi karte agar hota chaman apna gul apna baghban apna alam se yan talak roin ki aakhir ho gain ruswa dubaya hae aankhon ne mizha ka khandan apna raqiban ki na kuchh taqsir sabit hai na khuban ki mujhe nahaq satata hai ye ishq-e-bad-guman apna mera ji jalta hai us bulbul-e-bekas ki ghurbat par ki jin ne aasre par gul ke chhoda aashiyan apna jo tu ne ki so dushman bhi nahin dushman se karta hai ghalat tha jaante the tujh ko jo hum mehrban apna koi aazurda karta hai sajan apne ko he zalim ki daulat-khwah apna 'mazhar' apna 'jaan-e-jaan' apna