chaman ko aag lagane ki baat karta hun samajh sako to thikane ki baat karta hun sahar ko sham jalane ki baat karta hun ye ghafilon ko jagane ki baat karta hun rawish rawish pe bichha do babul ke kante chaman se lutf uthane ki baat karta hun wo baghban jo paudon se bair rakhta hai ye aap hi ke zamane ki baat karta hun sharab-e-surkh ki maujon se muddaa hoga agar main khun bahane ki baat karta hun wo sirf apne liye jam kar rahe hain talab main har kisi ko pilane ki baat karta hun yahan charagh tale lut hai andhera hai kahan charagh jalane ki baat karta hun is anjuman se utha hun khari khari kah kar phir anjuman mein na aane ki baat karta hun dabi zaban se guzarish hai nagawar agar to kya sawal uthane ki baat karta hun naqab-e-ru-e-zamana na uth sakegi ki main gulon se os uthane ki baat karta hun ghise houn ko nai fikr de raha hun 'shad' manjhe houn ko sikhane ki baat karta hun