chaman mein lala-o-gul par nikhaar bhi to nahin khizan agar ye nahin hai bahaar bhi to nahin tamazat-e-gham-e-dauran se phunk rahi hai hayat kahin pe saya-e-gesu-e-yar bhi to nahin khayal-e-tark-e-mohabbat baja sahi lekin ab apne dil pe hamein ikhtiyar bhi to nahin kabhi to jaan-e-wafa hai kabhi hai dushman-e-jaan teri nazar ka koi e'tibar bhi to nahin ba-in taghaful-e-paiham sitam to ye hai 'surur' main us ki khatir-e-nazuk pe bar bhi to nahin