chamka jo tirgi mein ujala bikhar gaya nanha sa ek jugnu bada kaam kar gaya wo nind ke safar mein to makhmur tha bahut aankhen khulin to khwab ke manzar se dar gaya aansu the is qadar meri chashm-e-malal mein har gosha gosha shahr ka ashkon se bhar gaya phaili hui hai chandni ehsas mein mere ye kaun meri zat ke andar utar gaya har shakhs hi kamanden 'zafar' phenkne laga ek pal ke waste jo khala mein thahar gaya