chand hi nikla na baadal hi chhama-chham barsa raat dil par gham-e-dil surat-e-shabnam barsa jalti jati hain jaden sukhte jate hain shajar ho jo taufiq to aansu hi koi dam barsa mere arman the barsat ke baadal ki tarah ghunche shaki hain ki ye abr bahut kam barsa pai-ba-pai aae sajal taron ke manind khayal meri tanhai pe shab husn jhama-jham barsa kitne na-paid ujalon se kiya hai aabaad wo andhera jo meri aankhon pe paiham barsa sard jhonkon ne kahi suni ruton se kya baat kin tamannaon ka khun shakhon se tham tham barsa qarya qarya thi 'ziya' hasrat-e-abaadi-e-dil qarya qarya wahi virani ka aalam barsa