chand suraj shafaq kahkashan KHatm-shud

chand suraj shafaq kahkashan khatm-shud
ab udun kis taraf aasman khatm-shud

regzar-e-yaqin ta-ba-hadd-e-nazar
sabza-zar-e-khayal-o-guman khatm-shud

phir hua yun ki aankh ek dam khul gai
mukhtasar ye ki bas dastan khatm-shud

fikr ke sare gul-bute murjha gae
zehn ki sari shadabiyan khatm-shud

us ne aate hi sab khidkiyan khol din
dafatan sar mein tha jo dhuan khatm-shud

rishte-nate sabhi jun ke tun hain magar
ek taqaddus jo tha darmiyan khatm-shud

zehn ko ab nichodun to tapke ghazal
thi kabhi wo jo tab-e-rawan khatm-shud


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close