chandni mein saya-ha-e-kaKH-o-ku mein ghumiye

chandni mein saya-ha-e-kakh-o-ku mein ghumiye
phir kisi ko chahne ki aarzu mein ghumiye

shayad ek bhuli tamanna mitte mitte ji uthe
aur bhi is jalwa-zar-e-rang-o-bu mein ghumiye

ruh ke darbasta sannaton ko le kar apne sath
hamhamati mahfilon ki hao-hu mein ghumiye

kya khabar kis mod par mahjur yaaden aa milen
ghumti rahon pe gard-e-arzu mein ghumiye

zindagi ki rahaten milti nahin milti nahin
zindagi ka zahr pi kar justuju mein ghumiye

kunj-dauran ko nae ek zawiye se dekhiye
jin khalaon mein nirale chand ghumen ghumiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close