chandni raat mein ek bar use dekha tha

chandni raat mein ek bar use dekha tha
chand se bar-sar-e-paikar use dekha tha

misl-e-khurshid numudar wo ab tak na hua
aakhiri bar sar-e-ghaar use dekha tha

main bhala kaise bayan karta sarapa us ka
shab-e-yalda pas-e-diwar use dekha tha

dil mein utri hi na thi raushni us manzar ki
awwalin bar to bekar use dekha tha

log kyun koh o bayaban mein use dhundte hain
main ne to bar-sar-e-bazar use dekha tha

us ne kya raat ko dekha tha ye malum nahin
main ne to naqsh-ba-diwar use dekha tha

us ki aankhon mein chamak khwab ki ye kaisi hai
raat bhar charkh ne bedar use dekha tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close