chandni raat mein har dard sanwar jata hai jaane kya kya sar-e-ehsas bikhar jata hai dekhte hum bhi hain kuchh khwab magar hae re dil har nae khwab ki tabir se dar jata hai maut ka waqt muayyan hai to phir baat hai kya kaun hai mujh mein jo har sans pe mar jata hai dil mein gad jati hai jab saat-e-mazi ki salib waqt ruk jata hai insan guzar jata hai
This is a great chandni raat par shayari. Please share if you liked this!!!