charagh-e-mah sin raushan-tar hai husn-e-be-misal us ka

charagh-e-mah sin raushan-tar hai husn-e-be-misal us ka
ki chauthe charkh par khurshid hai aks-e-jamal us ka

sanam ki zulf ke halqe mein hai jyun jim ka nuqta
ajab hai khush-numa us aariz-e-gulgun pe khal us ka

ayan hota hai jyun-kar sarw pani ke kinare par
hua yun jalwa-gar aankhon mein qadd-e-naunihaal us ka

juda jab sin hua wo dilbar-e-jadu-nazar mujh sin
juda hota nahin yak aan khatir sin khayal us ka

mujhe hai aarzu dil mein teri chah-e-zanakhdan ki
nahin darkar hauz-e-kausar o aab-e-zulal us ka

giraftar-e-hawas kya lazzat-e-didar kun pawe
juda jo kui hua hai aap sin paya visal us ka

'siraj' ai shola-ru hai kaun sa so main nahin waqif
mujhe kya puchhta hai puchh parwane sin haal us ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close