charagh-e-qurb ki lau se pighal gaya wo bhi

charagh-e-qurb ki lau se pighal gaya wo bhi
azab-e-hijr se main kya, nikal gaya wo bhi

rida-e-abr-e-jamal-e-hijab kya sarki
ki ang ang sitaron mein dhal gaya wo bhi

dayar-e-khwab mein ek shakhs ham-qadam tha magar
pada jo waqt to rasta badal gaya wo bhi

ye us ki yaad ka eajaz tha ki ab ke baras
jo waqt hum pe kada tha so tal gaya wo bhi

ajab tilism-e-numu tha wafa ki mitti mein
hawa-e-hijr chali, phul phal gaya wo bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close