charagh-e-rah bujha kya ki rahnuma bhi gaya

charagh-e-rah bujha kya ki rahnuma bhi gaya
hawa ke sath musafir ka naqsh-e-pa bhi gaya

main phul chunti rahi aur mujhe khabar na hui
wo shakhs aa ke mere shahr se chala bhi gaya

bahut aziz sahi us ko meri dildari
magar ye hai ki kabhi dil mera dukha bhi gaya

ab un darichon pe gahre dabiz parde hain
wo tank-jhank ka masum silsila bhi gaya

sab aae meri ayaadat ko wo bhi aaya tha
jo sab gae to mera dard-ashna bhi gaya

ye ghurbaten meri aankhon mein kaisi utri hain
ki khwab bhi mere rukhsat hain ratjaga bhi gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close