charagh-e-sham hi tanha nahin hai hawa main ne bhi ghar dekha nahin hai wo baadal hai magar is dasht-e-jaan par abhi dil khol kar barsa nahin hai mohabbat ek hisar-e-be-nishan hai lahu mein daera banta nahin hai bikharti ja rahi hun aur khush hun simatne mein koi sachcha nahin hai khosha ai ru-e-shakh-e-sabz tujh par sarab-e-aina khulta nahin hai tujhe dekha hai jab se sham-aluda meri aankhon mein din utra nahin hai main kyun dekhun hujum-e-mahr-o-mah ko meri tanhaiyon mein kya nahin hai nahin jate hain dukh ab aa ke ghar se ki ye aana tera aana nahin hai bhatak jaengi raaten jis ke hathon abhi us khwab ka charcha nahin hai zaban gum thi asar ke zaiqon mein tera mujrim lab-e-goya nahin hai