charcha is ek baat ka dasht-o-daman mein tha kis ka latif hath zuhur-e-chaman mein tha kanta tha husn-e-zat ka karta na kyun khalish yak-guna haz-o-lutf bhi lekin chubhan mein tha us shakhs ke zamir ne kar li thi khud-kushi pauda hawas ka jis ki tamanna ke ban mein tha sayyara-e-gunah ka saya jidhar pada tare siyah-posh the suraj gahan mein tha yalghaar kar rahi thi mozahim pe dam-ba-dam kis darja garm khun ana ke badan mein tha go meri baat par use 'hadi' yaqin to tha shak-o-guman ka rang bhi us ke chalan mein tha