charKH bhi chhu len to jaana hai isi miTTi mein

charkh bhi chhu len to jaana hai isi mitti mein
mustaqil apna thikana hai isi mitti mein

jin ke daman pe kabhi chand-sitare chamke
dafan un ka bhi fasana hai isi mitti mein

be-amal hath lagae bhi to khali jae
han jafa-kash ka khazana hai isi mitti mein

is tarah chal ki ye pamal na hone pae
be-khabar aab hai dana hai isi mitti mein

ham-watan khak-e-watan kyun na ho pyari ki hamein
baad-az-marg bhi jaana hai isi mitti mein

log kal kah ke tujhe yaad karenge 'akhlaq'
shair-e-fakhr-e-zamana hai isi mitti mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close