charKH ki sai-e-jafa koshish nakara hai

charkh ki sai-e-jafa koshish nakara hai
gardish-e-dahr yahan jumbish-e-gahwara hai

chand taron ke talatum se ye aata hai khayal
dil-e-wahshi koi tufan-zada sayyara hai

bah gae dida-e-nam-nak se dariya lekin
dil wahi ek dahakta hua angara hai

dil hua soz-e-jahannam mein giraftar magar
ruh ab bhi kisi firdaus mein aawara hai

kaisi taqdir ki gardish gham-e-dil ko main ne
gardish-e-gumbad-e-aflak pe de mara hai

mere sheron se tarruz na kar ai naqid-e-fan
meri barbaadi-e-dil hi mera shah-para hai

bahjat-e-fikr pe qadir hun main jab tak 'akhtar'
mujhe sarmaya-e-andoh bahut pyara hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close