chehre dhuan dhuan hain ye aasar dekh kar aaina-e-khulus sharar-bar dekh kar phir koi kuchh na bol saka kuchh na kar saka us be-zaban ki jurat-e-izhaar dekh kar kuchh aur tez ho gai lamhon ki sakht dhup thahre jahan bhi saya-e-diwar dekh kar raste mein koi mod na koh-e-giran mila main laut aaya rah ko hamwar dekh kar wo manzar-e-shikasta ki dil dubne laga aankhen laraz gain pas-e-diwar dekh kar