chhat ki kaDiyan jaanch le diwar-o-dar ko dekh le

chhat ki kadiyan jaanch le diwar-o-dar ko dekh le
mujh ko apnane se pahle mere ghar ko dekh le

chand lamhon ka nahin ye umr bhar ka hai safar
rah ki padtal kar le rahbar ko dekh le

apni chadar ki tawalat dekh kar panw pasar
bojh sar par ladne se qabl sar ko dekh le

ek harakat se badal jata hai lafzon ka mizaj
apni har tahrir mein zer-o-zabar ko dekh le

jaanib-e-bazar patthar phenkne se peshtar
tu kisi 'sipra'-numa shorida-sar ko dekh le


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close