chhed kar tazkira-e-daur-e-jawani roya raat yaron ko suna kar main kahani roya zikr tha kucha o bazar ke hangamon ka jaane kya soch ke wo yusuf-e-sani roya ghairat-e-ishq ne kya kya na bahae aansu sun ke baaten teri ghairon ki zabani roya jab bhi dekhi hai kisi chehre pe ek taza bahaar dekh kar main teri taswir purani roya chashm-e-arbab-e-wafa hai jo lahu roti hai ghair phir ghair hai roya bhi to pani roya teri mahki hui sanson ki lawen yaad aain aaj to dekh ke main subh suhani roya ai watan jab bhi sar-e-dasht koi phul khila dekh kar tere shahidon ki nishani roya