chhoD kar ghar-bar apna hasrat-e-didar mein

chhod kar ghar-bar apna hasrat-e-didar mein
ek tamasha ban ke aa baitha hun ku-e-yar mein

dam nikal jaega hasrat se na dekh ai nakhuda
ab meri qismat pe kashti chhod de manjdhaar mein

dekh bhi aa baat kahne ke liye ho jaegi
sirf ginti ki hain sansen ab tere bimar mein

fasl-e-gul mein kis qadar manhus hai rona mera
main ne jab nale kiye bijli giri gulzar mein

jal gaya mera nasheman ye to main ne sun liya
baghban to khairiyat se hai saba gulzar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close