chup ke aalam mein wo taswir si surat uski

chup ke aalam mein wo taswir si surat us ki
bolti hai to badal jati hai rangat us ki

sidhiyan chadhte achanak wo mili thi mujh ko
us ki aawaz mein maujud thi hairat us ki

hath chhu lun to laraz jati hai patte ki tarah
wahi na-karda-gunahi pe nadamat us ki

kisi thahri hui saat ki tarah mohr-ba-lab
mujh se dekhi nahin jati ye aziyyat us ki

aankh rakhte ho to us aankh ki tahrir padho
munh se iqrar na karna to hai aadat us ki

khud wo aaghosh-e-kushada hai jazire ki tarah
phaile dariyaon ki manind mohabbat us ki

raushni ruh ki aati hai magar chhan chhan kar
sust-rau abr ka tukda hai tabiat us ki

hai abhi lams ka ehsas mere honton par
sabt phaili hui hui bahon pe hararat us ki

wo agar ja bhi chuki hai to na aankhen kholo
abhi mahsus kiye jao rifaqat us ki

dil dhadakta hai to wo aankh bulati hai mujhe
sans aati hai to milti hai bashaarat us ki

wo kabhi aankh bhi jhapke to laraz jata hun
mujh ko us se bhi zyaada hai zarurat us ki

wo kahin jaan na le ret ka tila hun main
mere kandhon pe hai tamir imarat us ki

be-talab jina bhi 'shahzad' talab hai us ki
zinda rahne ki tamanna bhi shararat us ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close