chura ke mere taq se kitab koi le gaya

chura ke mere taq se kitab koi le gaya
meri tamam umr ka hisab koi le gaya

ye waqia hai jab luti mere chaman ki aabru
larazti shakh rah gai gulab koi le gaya

wahi to ek zariya-e-najat mere pas tha
magar mere zamir ka sawab koi le gaya

sawal ban ke ru-ba-ru khadi hui thi zindagi
mera lahu nichod kar jawab koi le gaya

mere badan mein chubh rahi thin suiyan si raat bhar
sahar hui to lutf-e-iztirab koi le gaya

chhupa liya hai main ne sara dard apni ruh mein
tasalliyon ka zahiri naqab koi le gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close