dabi aawaz mein karti thi kal shikwe zamin mujh se ki zulm o jaur ka ye bojh uth sakta nahin mujh se agar ye kashmakash baqi rahi jahl o tamaddun ki zamana chhin lega daulat-e-ilm-o-yaqin mujh se tumhin se kya chhupana hai tumhaari hi to baaten hain jo kahti hai tamanna ki nigah-e-wapsin mujh se nigahen chaar hote hi bhala kya hashr uth jata yaqinan is se pahle bhi mile hain wo kahin mujh se dikha di main ne wo manzil jo in donon ke aage hai pareshan hain ki aakhir ab kahen kya kufr o din mujh se ye mana zarra-e-awara-e-dasht-e-wafa hun main nibhana hi padega tujh ko duniya-e-hasin mujh se sar-e-manzil pahunch kar aaj ye mahsus hota hai ki lakhon laghzishen har gam par hoti rahin mujh se udhar sari tamannaon ka markaz aastan un ka idhar barham tamanna par meri sarkash jabin mujh se