daen bazu mein gada tir nahin khinch saka is liye khol se shamshir nahin khinch saka shor itna tha ki aawaz bhi dabbe mein rahi bhid itni thi ki zanjir nahin khinch saka har nazar se nazar-andaz-shuda manzar hun wo madari hun jo rahgir nahin khinch saka main ne mehnat se hatheli pe lakiren khinchin wo jinhen katib-e-taqdir nahin khinch saka main ne taswir-kashi kar ke jawan ki aulad un ke bachpan ki tasawir nahin khinch saka mujh pe ek hijr musallat hai hamesha ke liye aisa jin hai ki koi pir nahin khinch saka tum pe kya khak asar hoga mere sheron ka tum ko to mir-taqi-'mir' nahin khinch saka