dam-e-tamir taKHrib-e-jahan kuchh aur kahti hai

dam-e-tamir takhrib-e-jahan kuchh aur kahti hai
kali kuchh aur kahti hai khizan kuchh aur kahti hai

kada ki yaad sab kuchh hai magar ai zahid-e-nadan
dilon se masti-e-chashm-e-butan kuchh aur kahti hai

kabhi shayad wo daur aae jab insan ho sake insan
abhi to gardish-e-haft-asman kuchh aur kahti hai

bana kar aashiyane fasl-e-gul mein shad hain lekin
chaman walon se barq-e-be-aman kuchh aur kahti hai

bahut mushkil hai manzil tak jo ahl-e-karwan pahunchen
ki hum se gard-e-rah-e-karwan kuchh aur kahti hai

ye ghaflat ai hayat-e-chand-roza ke parastaro
utho tum se hayat-e-jawedan kuchh aur kahti hai

asar naghmon mein bhi hai nala-ha-e-gham mein bhi 'shair'
magar tute hue dil ki fughan kuchh aur kahti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close