damak uThi hai faza mahtab-e-KHwab ke sath

damak uthi hai faza mahtab-e-khwab ke sath
dhadak raha hai ye dil kis rabab-e-khwab ke sath

hate ghubar jo lau se to meri jot jage
jalun main phir se nai aab-o-tab-e-khwab ke sath

hai sau adaon se uryan fareb-e-rang-e-ana
barahna hoti hai lekin hijab-e-khwab ke sath

to kyun saza mein ho tanha gunahgar koi
yahan to jite hain sab irtikab-e-khwab ke sath

sharar-e-sang se sanglakh ho gae talwe
hua na kuchh dil-e-khana-kharab-e-khwab ke sath

sulae rakkha hamein bhi fareb-e-manzil ne
chale the hum bhi kisi ham-rakab-e-khwab ke sath

suragh milta nahin pyas ke safinon ka
bhanwar bhi hote hain shayad sarab-e-khwab ke sath

haqiqaton ki chatanon pe chal gaya jadu
lo wo bhi chalne lagin ab sahab-e-khwab ke sath

ajab nahin wahi manzar nazara ban jae
dara raha hai ye dar iztirab-e-khwab ke sath

daraden rah gain bedariyon ke naqshe par
na hum rahe na wo tum inqalab-e-khwab ke sath

nigah-e-dida-e-tabir ke hawale 'khalish'
hai ye bayaz alag intikhab-e-khwab ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close