dar-e-shahi se dar-e-gadai pe aa gaya hun

dar-e-shahi se dar-e-gadai pe aa gaya hun
main narm bistar se chaarpai pe aa gaya hun

badan ki sari tamazaten mand pad rahi hain
wo bebasi hai ki parsai pe aa gaya hun

nahin hai chehre ka haal padhne ki khu kisi mein
sukut toda hai lab-kushai pe aa gaya hun

husul-e-ganj-e-ata-e-ghaibi ke waste ab
sifat-e-rabbi ki jubba-sai pe aa gaya hun

utar phenka musalahat ka libas main ne
sukut toda hai lab-kushai pe aa gaya hun

futur mujh mein nahin hai koi sabab to hoga
duaen deta hua duhai pe aa gaya hun

'ali' mein sabze ko raundne ki saza ke bais
barahna-sar se barahna-pai pe aa gaya hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close