dar hai mard-e-anal-haq ka watan arsh hai mard-e-khuda ki jagir rok le abr-e-karam-gustar ko khinch kar barq-e-tapan ki zanjir aql ki panja-e-baiat se nikal tera murshid tera maula hai zamir us ke likkhe ko badal sakta hai ishq jis ki taqdir ho patthar pe lakir us ka ghar puchhti phirti hai raza sher-'afzal' hai ana mast faqir