dar-parda sitam hum pe wo kar jate hain kaise

dar-parda sitam hum pe wo kar jate hain kaise
gar kije gila saf mukar jate hain kaise

aane mein to sau tarah ki sohbat thi shab-e-wasl
dekhenge par ab uth ke sahar jate hain kaise

ranjish ka meri pas nahin aap ko mutlaq
barham tujhe hum dekh ke dar jate hain kaise

ghusse mein naya rang nikale hain pari-ru
jun jun ye bigadte hain sanwar jate hain kaise

us sahib-e-ismat ko yahi soch hai har subh
be-wajh mere baal bikhar jate hain kaise

ayyam musibat ke to kate nahin katte
din aish ke ghadiyon mein guzar jate hain kaise

wo waqt to aane de bata denge 'shahidi'
bin aae kisi shakhs pe mar jate hain kaise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close