dar-pesh nahin naql-e-makani kai din se aai na tabiat mein rawani kai din se phir ret ke dariya pe koi pyasa musafir likhta hai wahi ek kahani kai din se dushman ka kinare pe bada sakht hai pahra aaya na mere shahr mein pani kai din se saunpe the kahan dhup ke mausam ko ghane ped main dhundh raha hun wo nishani kai din se shayad koi bhatka hai wahan qafila 'azhar' sahra ne meri khak na chhani kai din se