daraaz-dast ko dast-e-ata kahin na mila

daraaz-dast ko dast-e-ata kahin na mila
bakhil-e-shahr tha hajat-rawa kahin na mila

fasil-e-shab pe sahar ka diya jalata kaun
ki koi shakhs mujhe jagta kahin na mila

lahu ki aag thi raushan har ek hatheli par
kisi bhi hath pe rang-e-hina kahin na mila

gira khud apni nazar se to puchhta phir kaun
khudi ganwai to mujh ko khuda kahin na mila

sabhi the apne khudaon se bad-guman shayad
kisi zaban pe harf-e-dua kahin na mila


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close