dard ko rahne bhi de dil mein dawa ho jaegi

dard ko rahne bhi de dil mein dawa ho jaegi
maut aaegi to ai hamdam shifa ho jaegi

hogi jab nalon ki apne zer gardun baz-gasht
mere dard-e-dil ki shohrat ja-ba-ja ho jaegi

ku-e-jaanan mein use hai sajda-rezi ka jo shauq
meri peshani rahin-e-naqsh-e-pa ho jaegi

kakul-e-pechan hata kar rukh se aao samne
parda-dar-e-husn mahfil mein ziya ho jaegi

jab ye samjhunga ki meri zist hai mamnun-e-marg
maut meri zindagi ka aasra ho jaegi

intizar-e-wasl karna umr bhar mumkin to hai
go nahin malum haalat kya se kya ho jaegi

mohtasib aur hum hain donon muttafiq is bab mein
barmala jo mai-kashi ho be-riya ho jaegi

main abhi se jaan de dunga jo rah-e-ishq mein
intiha majnun ki meri ibtida ho jaegi

fash raaz-e-dil nahin karta magar ye dar to hai
be-khudi mein aah lab se aashna ho jaegi

baryab-e-khwab-gah-e-naz hone do use
un ki zulfon mein pareshan khud saba ho jaegi

maqsad-e-ulfat ko kar lo pahle 'shaida' dil-nashin
warna har aah-o-fughan be-muddaa ho jaegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close