daron ko chunta hun diwar se nikalta hun main khud ko jit ke is haar se nikalta hun tujhe shanakht nahin hai mere lahu ki kya main roz subh ke akhbar se nikalta hun meri talash mein us par log jate hain magar main dub ke is par se nikalta hun ajib khauf hai donon ko kya kiya jae main qad mein apne hi sardar se nikalta hun ab aage faisla qismat pe chhod ke main bhi tilism-e-sabit-o-sayyar se nikalta hun suni hai main ne kisi samt se wahi aawaz suno main gardish-e-parkar se nikalta hun meri talash mein wo bhi zarur aaega so main bhi chashm-e-kharidar se nikalta hun natija jo bhi ho ja-e-aman mile na mile main ab kharaba-e-purkar se nikalta hun