darpan diya hun dil ka main us dilruba ke hath darpan mein wo piya hai wo darpan piya ke hath us qibla-ru ki dekh ke mehrab-e-abr wan saf bandh khul rahe hain mizha jiyun dua ke hath har waqt be-hijab ho kyunkar kare nigah hai ikhtiyar chashm-e-piya ka haya ke hath kis rang sun lage hai kaf-e-pa kun shokh ki dil khun ho raha hai hamara hina ke hath gulgun qaba na mar taghaful ki tegh sun hai qatl aashiqan ka teri yak ada ke hath barja hai barg-e-gul sun kafan us kun hue nasib jo kui hua shahid wo gul-gun qaba ke hath hai chaak chaak ghuncha-e-dil aaj aah sun jyun chaak-e-pairahan kun kiya gul saba ke hath kahte hain aashiqan yu mera haal dekh kar shayad tun dil diya hai kisi bewafa ke hath darkar nin hai mujh kun kabutar ki qasidi bheja hun gul-badan kun main nama saba ke hath