darta hun arz-e-haal se dhoka na ho kahin wo ruth jaen aur bhi aisa na ho kahin kab tak talash dil ki karun aur kahan kahan zulfon mein dekh lijiye uljha na ho kahin qasid mere makan ki taraf se gaya jo aaj hota hai shak mujhe ki bulaya na ho kahin ho jae jal ke khak na khud ye mera wajud darta hun aah ka asar ulta na ho kahin dil le ke apne pas bulaen wo kis liye ye bhi to sochte hain taqaza na ho kahin ai shaikh teri baat ka kya e'tibar ho parde mein is aba ke bhi duniya na ho kahin muddat hui ki dil ko qarar-o-sukun nahin phirta hai jaise is ka thikana na ho kahin un ka mariz-e-gham hai kai din se jaan-ba-lab wo dil mein sochte hain bahana na ho kahin ku-e-butan mein tera guzar hai jo bar bar ai dil tu aisi baaton se ruswa na ho kahin 'hafiz' ki chashm-e-tar pe nazar chahiye zarur ye tar-e-ashk dekhiye dariya na ho kahin