dasht-e-gham se guzar raha hun main tirgi mein nikhar raha hun main waqt ne qadr ki nahin warna waqt ka ham-safar raha hun main bikhra bikhra hun ek muddat se rafta rafta sanwar raha hun main khud-numai ki har bulandi se zina zina utar raha hun main shukr tera ki ai junun-e-safar khud se bhi be-khabar raha hun main nam mera 'kamal' hai lekin umr bhar be-asar raha hun main