dast-e-munim meri mehnat ka KHaridar sahi

dast-e-munim meri mehnat ka kharidar sahi
koi din aur main ruswa sar-e-bazar sahi

phir bhi kahlaunga aawara-e-gesu-e-bahaar
main tera dam-e-khizan lakh giraftar sahi

jast karta hun to lad jati hai manzil se nazar
hail-e-rah koi aur bhi diwar sahi

ghairat-e-sang hai saqi ye gulu-e-tishna
tere paimane mein jo mauj hai talwar sahi

main ne dekhi dekhi usi mein gham-e-dauran ki jhalak
be-khabar rang-e-jahan se nigah-e-yar sahi

un se bichhde hue 'majruh' zamana guzra
ab bhi honton mein wahi garmi-e-rukhsar sahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close