dast-e-qatil mein ye shamshir kahan se aai

dast-e-qatil mein ye shamshir kahan se aai
naz karti meri taqdir kahan se aai

chandni sine mein utri hi chali jati hai
chand mein aap ki taswir kahan se aai

apni palkon pe saja lai hai kis ke jalwe
zindagi tujh mein ye tanwir kahan se aai

ho na ho us mein chaman walon ki sazish hai koi
phul ke hath mein shamshir kahan se aai

khwab to khair hum us bazm se le aae the
lekin is khwab ki tabir kahan se aai

khun-e-hasrat hai kahan aur ye ezaz kahan
ai hina tujh mein ye tauqir kahan se aai

dil se ek aah to nikli hai shakila bano
lekin is aah mein tasir kahan se aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close