dastan bhi muKHtalif lahja bhi yaron se juda

dastan bhi mukhtalif lahja bhi yaron se juda
panchwan darwesh to hai pahle chaaron se juda

zahr na-pukhta mizajon mein bhara karte hain ye
aap rahiyega zara in hoshyaron se juda

shor barpa ho gaya har gosha-e-gulzar mein
jab ubhar aaya naya manzar bahaaron se juda

chat jati hirs ki dimak faqiron ke bhi tan
siraten un ki thin lekin shahryaron se juda

bas gham-e-jaanan nahin lekin gham-e-duniya to hai
aap kaise ho gae phir dil-figaron se juda

'nasir' o 'bani' sa tujh ko bhi saraha jaega
jab tera rang-e-sukhan hoga hazaron se juda


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close