de hashr ke wade pe use kaun bhala qarz

de hashr ke wade pe use kaun bhala qarz
tum le ke na dete ho kisi ka na diya qarz
hai dil mein agar us se mohabbat ka irada
le lijiye dushman ke liye hum se wafa qarz
aashiq ke satane mein daregh un ko na hoga
maujud hain lene ko jo mil jae jafa qarz
us hath se do qaul to is hath se lo dil
deta hai koi hashr ke wade ye bhala qarz
mana ki jafaon ki talafi hain wafaen
hoga na 'zahir' un ki adaon ka ada qarz
This is a great aashiq wali shayari. True lovers of satane ki shayari will love this. Please share if you liked this!!!