dekh darwaze se mujhko wo pari-ru haT gai

dekh darwaze se mujh ko wo pari-ru hat gai
dekhte hi us ke meri jaan bas chat-pat gai

tum udhar dhote rahe munh hum idhar rote rahe
rote-dhote do ghadi bare maze se kat gai

gard-e-kulfat bas-ki chhai dil se ta aaankhon talak
nahr thi jari jo aaankhon ki mere so pat gai

ji ada ne zulf ne dil hosh ghamzon ne liya
jins-e-hasti apni sab ghaarat mein aa kar bat gai

parde hi parde mein dil ko khak kar dala mere
is ada se wo pari munh par liye ghunghat gai

zulf gar chhidri hui tere to mat kha pech-o-tab
kya hua az-bas uthae bojh dil ke lut gai

kal jo mera khush-nigah guzra chaman se ai 'hasan'
mund li baadam ne aankh aur nargis kat gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close